Manqabat Lyrics
subha tayba me huvi bat-ta he bara noor ka
subha tayba me huvi batta he bara noor ka
sadqa lene noor ka aaya he tara noor ka
Bage tayba me suhana phool phoola noor ka
mast buve bulbule parhti kalima noor ka
barhvi ke chand ka mujra he sajda noor ka
barah burjo se juka ik ik sitara noor
me gada tu badhah bharde piyala noor ka
noor din duna tira de dal sadqa noor ka
teri nasl e paak me he bacha bacha noor ka
tu he aine noor tera sab gharana noor ka
ae raza yeh ahmade noori ka faiz e noor he
ho gai meri gajal bar kar qaseeda noor ka